In features ke liye free register karein
Profile Details
Milte Julte Rishte Dekhein
About & Family
Education- BSC HONS ( university of Bolton UK )
Complexion - fair
Height - 5,8
Weight - chubby ( not extra chubby ) gained after baby
Children - 1 son ma sha ALLAH
Mera aik beta hai 3 saal ka ma sha ALLAH se mein ney apney shohar ko bacha khud nahi diya, kyun kay joh insaan shuru din se apni biwi bachay ka kharcha nah autha sakay woh bacha kya sambhaleyga,
Mein ney khud khula li thi because meray ex husband ( bahir wali aurton mein interested thay, haath authatey thay, galiyan daitey thay i gave him so many chances but jab admi for granted laih laitah hai toh ousko lagtah hai yeh kahi nahi jayegi laikin apney betay kay liye mein ney yeh faisla liya aur khula case kiya ! Aaj tak koi aik paisa nahi liya nah bachay ka kharcha.
JazakALLAH details daih di hai please pehle bio read kar li jiyega.
Family
Ma sha ALLAH se meri walidah hai mein 2 saal ki thi abu ka inteqaal ho gaya tha ami ney sari zindagi mehnat kar kay parhaya, likhaya she is a MOH retired incharge Nurse ( based in UAE earlier ).
Bhai behan koi nahi hai.
Ghar ma sha ALLAH se dubai mein bhi apna hai 100year wala system nahi ma sha ALLAH apni khud ki property hai !
Phone Number
Jab aap dono ka connection ban jayega (aap Connect request bhejein, samnay wala accept kare aur admin approve kare) tab unka phone number yahan nazar aayega.