In features ke liye free register karein
Aik zaroori guzarish — MaaJee.pk ki taraf se Band / khol karein
Assalam o Alaikum!
Rishta zindagi ka bohat bara faisla hai, aur is mein aap ke walidain aur ghar walon ki izzat aur aitemad shamil hota hai. MaaJee.pk aap ko achhe rishton tak pohanchne ka zariya deta hai, lekin faisla aur zimmedari aap ki apni hai.
Baraye meharbani in baton ka khayal rakhein:
- Terms & Conditions aur Privacy Policy zaroor parhein. Website istemal karne ka matlab hai ke aap in se agree karte hain. (Terms · Privacy Policy)
- Har baat khud tasalli se check karein. Hum profiles verify karne ki poori koshish karte hain, lekin kisi bhi rishte ki tehqeeq — khandan, kaam, taleem, kirdar — aap aur aap ke ghar wale khud karein.
- Paise ka koi lain-dain na karein. MaaJee.pk ki fees sirf hamare official numbers par jaati hai. Kisi member ko kisi bhi wajah se paise, gift ya “fees” na bhejein.
- Mulaqat hamesha ghar walon ke saath aur public jagah par karein. Akele milne se parhez karein.
- Apni zaati maloomat soch samajh kar share karein — ghar ka pata, CNIC, bank details ya private tasveerein kisi ko na dein.
- Ghar walon ko shamil rakhein. Har qadam par apne walidain aur bazurgon ko bataein aur un ke mashware se chalein. Unhon ne aap par jo aitemad kiya hai, usay kabhi tootne na dein.
- Izzat aur akhlaq se baat karein. Kisi ko tang karna, jhoot bolna ya ghalat maloomat dena account band hone ki wajah ban sakta hai.
- Kuch ghalat lage to foran batayein. Kisi profile ya message par shak ho to “Report” karein ya hamein WhatsApp karein: 0339-0007987.
- Report hone ka asar. Jis profile ko members report karein woh Browse mein priority par nahi dikhti, aur 10 members ki reports par profile khud band ho jata hai. Is liye sab ke saath izzat se pesh aayein.
⚠️ Zaroori: MaaJee.pk sirf members ko milane ka platform hai. Members ke aapas ke kisi bhi lain-dain, mulaqat, wade ya faisle ka idara zimmedar nahi hoga. Har qadam soch samajh kar, apni aur apne ghar walon ki zimmedari par uthayein.
Allah aap ke liye behtareen rishta asaan farmaye. Ameen. 🤲
— Team MaaJee.pk
Profile Details
Milte Julte Rishte Dekhein
About & Family
Asalamualikum, I am a mature, intelligent and serious person looking a for marriage, I expect my partner to be the same, He must not depend on his family for anything
Family
Mere ghr me Ami, Abu, Bhai or bhabhi or un k Bache han, meri Behan Canada me rehti hn we are a upper middle class family with good education and family values
Phone Number
Jab aap dono ka connection ban jayega (aap Connect request bhejein, samnay wala accept kare aur admin approve kare) tab unka phone number yahan nazar aayega.